Havelime kholi, kholime mai, mere undar mera dil.
Dilke undar Ek chhota dil karta hai badi mushkil.
Haveli meri itni unchi jiski aankhari manzil nahi..
Kholi Kholi nayi paheli nazar aata koi unt nahi.
Har kholime pataa hoon muzko chahe kuch ho naam.
Kisme sona, kisme khana hasna, rona baki kaam.
Maa baap, bhai, bahane, beti, bete aur ek wo.
Sabhike saath meri mai mai chhahe kahe jao.
Rishte naate, aate jaate mehman, dost ya dushman,
Kisise ladate, kisise judte chipkata rahata mera man.
Manke undar rahate do dil ek gire ek chadhe,
Ek darya dhir gambhir rahe ek lahar ban chadhe.
Meri haveli darya kinara, zaanku bahar ya undar,
Dono dil saath hokar muze banaate hai bandar.
Jab mai bandar banata nahi muzko kuch dikhta nahi,
He Bhagwan ye kaisi ulzan samza de to kuch to sahi.
Arvind Khare
Khare_am@yahoo.com
9820701210
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment