Tuesday, March 2, 2010

SHAYARI AND WIFE

Bibine chhoda farman
Naam na lena Arman
Arman Hoga kurban
Arvind tera kya hoga ?

Jo hona tha wo ho gaya
Pitaka naam aage lagaya
Mera naam pichhe lagaya
Bichme jo chhahe wo karna

Maine dabte dabte kahan
Itna muzme dam kahan
Jo jaoo main yahan wanhan
Khali kagajpe to likhta hoon.

Kore kagajpar bhale likho
Aapna naam kayam rakho
Naamse agar banta Jahan
To main Mumtaz tum Shahjahan

Maine kahan gar tu Mumtaz ho
To Aurangzeb kyun banati ho
Sabhi shayar to lete dusra naam
Phir main akela kyun badnaam

Sab shayar mere Pati nahi
Unki baat muze chhuti nahi
Naamke saath kya kya badloge
Iski guaranttee kaun kaun lege

Maine kahan meri pyaari
Baat tumhari hogi bhari
Tuzse jyada kahan shayari
Apne naamse to likhane do

Maine kahan manaa kiya
Muzse jyada koi jaan liya
Tumhari udaan kitni unchi
Ye to akeli patnihi sonchi

Maine kahan ye liya maan
Do talwar aur ekhi myan
Kounsi talwar kitni tej
Jo jaane wo bane angrez

Arvind
khare_am@yahoo.com
9820701210

1 comment: